Do u know Baroda ?

Woh room zoom ki pani puri, woh ellora park ki   chaat,
Woh Dairy Den ki ice cream, Wah usme thi kuch baat.
Woh Ambassodar ki mithai, woh South Corner ka dosa,
Woh FNF ki pav bhaji aur Payal ka samosa.
Woh rikshaw ka ‘saffer’, woh Sur sagar ki hawa,
Woh dutch roses ke kante aur Kamatibaug park ka   sama.
Woh December ki zara si sardi, woh baarishon ke   mahiney,
Woh garmi ki chhuttiyan, jab chhutate they paseeney.
Woh holi ki masti, woh ARKI- Unitedway ke garbe,
Woh diwali ke patakhe aur ganpati ka shor sharaba.
Woh Uttarayan ki patange aur Akbari ka Dora,
Woh Ajawa ka Garden aur Nimeta ka Daura
Woh R.C. Dutt road ka mahol, Fatehgunj ki leheren,
Woh kya kya nazare, Wah uske kya kehene.
Woh Muffins ke puff, woh KOKA ki chai,
Woh Jagdish ke bhakarwadi, woh mahakali ka “Usal”.
Woh Raju – yusuf ka Omlet, woh ‘chinese’ ki fasal
Woh bachpan ki yaaden, woh gotiyon kaa khel,
Woh school ki Rixa aur woh College ki Life,
Woh Sindhrot ka rasta aur woh College Kenteen ka   nasta.
Woh Sardar baug ke jhaadiyan, jahaa hotey they mel.
Woh Rajashree ka samosa aur National Plaza ka   shopping,
Woh Sayajigung (homescience) ka nazara aur Deluxe ka   Adda
Woh Convent ki ladkiya aur homescience ki beauties,
Woh 25th ka Christmas aur woh 31st ka funfare.
Woh Alpana cinema ke queue, woh black ki pink   ticket,
Woh Polo club ka maidan, jahan bachche khelatey cricket.
Itni cheezen kehene ke baad bhi lagta hai thoda,
Yeh shehar hai, mera apna B A R O D A  !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Posted in Business | 1 Comment

Hello world!

Welcome to WordPress.com. This is your first post. Edit or delete it and start blogging!

Posted in Uncategorized | 1 Comment